hai kaun shai jis kī zid nahīñ hai jahāñ ḳhushī hai malāl bhī hai
ġham-e-judā.ī na khā tū ai dil firāq hai to visāl bhī hai
jo Tiika sandal kā hai jabīñ par to paas abrū kī ḳhaal bhī hai
sip.har-e-ḳhūbī ye maah bhī hai sabīl bhī hai hilāl bhī hai
misāl durr-e-najaf se kyā duuñ ezār-sāda ko us parī ke
nahīñ hai baal us meñ naam ko bhī ye aib hai is meñ baal bhī hai
ḳhudā hī jaane ki kis ravish se kiyā thā murġh-e-chaman ne naala
paḌī hai ġhunche kī chiiñ jabīñ par to rañg chehre kā laal bhī hai