Munawar Khan Ghafil

marte dam o bewafa dekha tujhe

Munawar Khan Ghafil

marte dam o bevafā dekhā tujhe
ik nazar dekhā to kyā dekhā tujhe
ai parī-rū kyuuñ na maiñ dīvāna huuñ
baal khole bārhā dekhā tujhe
nik.hat-e-gul bhī na laa.ī tā-qafas
chal havā ho ai sabā dekhā tujhe
girya-e-bulbul par us ne hañs diyā
jis ne ai gulgūñ-qabā dekhā tujhe
diid meñ har-chand sau nuqsān the
fā.eda ik ye huā dekhā tujhe
halqa-e-gesū hai gardan meñ paḌā
aap apnā mubtalā dekhā tujhe
kyā tirī nairañgiyāñ kiije bayān
sab meñ aur sab se judā dekhā tujhe
barq-e-āfat aaj hī ham par girī
varna hañste bārhā dekhā tujhe
aaj tak ai bekasī chhoḌā na saath
ek sābit āshnā dekhā tujhe
ِduzdī-e-dil kā yaqīñ ho kis tarah
kis ne ai duzd-e-hinā dekhā tujhe
ham ne 'ġhāfil' but-kade meñ dahr ke
ek mard-e-bā-ḳhudā dekhā tujhe
Top Urdushayar.com