ye kaun sā parvāna muā jal ke lagan meñ
hairat se jo hai sham.a kī añgusht dahan meñ
kahte haiñ use chāh-e-zanaḳhdāñ ġhalatī se
bose kā nishāñ hai ye tire seb-e-zaqan meñ
vo ā.ina-tan aa.ina phir kis liye dekhe
jo dekh le muñh apnā har ik uzv-e-badan meñ
vo subah ko is Dar se nahīñ baam par aatā
naama na koī bāñdh de sūraj kī kiran meñ
mazmūñ nahīñ likhte ham use dāġh-e-jigar kā
rakh dete haiñ laale kī kalī ḳhat kī shikan meñ
ye gard-e-kudūrat se pas-e-marg thā dil saaf
dhabbā na lagā ḳhaak kā bhī mere kafan meñ
zindāñ meñ asīroñ se ye kahtā thā mah-e-misr
ġhurbat hī meñ ārām milā aur na vatan meñ