Munawar Khan Ghafil

gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt

Munawar Khan Ghafil

gil hai aariz to qadd-e-yār daraḳht
kab ho aisā bahār-dār daraḳht
rashk se ik nihāl qad ke tire
kaT ga.e jal ga.e hazār daraḳht
ḳhvāhish-e-sañg thī jo majnūñ ko
qabr par bhī hai meva-dār daraḳht
kis kī vahshat ne ḳhaak uḌaa.ī hai
dasht meñ haiñ jo pur-ġhubār daraḳht
dāman-e-yār us se uljhegā
ho na gulshan meñ ḳhār-dār daraḳht
nāla-e-kohkan se jal uTThe
the jo bālā-e-kohsār daraḳht
dast-e-rañgīñ kā us ke kushta huuñ
ho hinā kā sar-e-mazār daraḳht
jis jagah dafn thā ye soḳhta-jāñ
na ugā vaañ se zīnhār daraḳht
zīnat-e-ḳhāna-bāġh kaun hai aaj
sajda karte haiñ bār-dār daraḳht
barg malte haiñ jo kaf-e-afsos
kis ke ġham meñ haiñ sogvār daraḳht
gulshan-e-ishq kā tamāshā dekh
sar-e-mansūr phal hai daar daraḳht
dekheñ gar tere qad kī bālā.ī
sar uThā.eñ na zīnhār daraḳht
be-samar ik rahā ye naḳhl-e-murād
yuuñ to phūle-phale hazār daraḳht
terī duurī meñ ai gul-e-ḳhūbī
suukh kar ho ga.e haiñ zaar daraḳht
saf-ba-saf haiñ khaḌe jo gulshan meñ
kab se bāñdhe hue qatār daraḳht
dekhte haiñ sū-e-dar-e-gulzār
kis ke haiñ mahv-e-intizār daraḳht
mausam-e-gul hai josh-e-mastī hai
laa.e gulshan meñ barg-o-bār daraḳht
jī meñ aatā hai mai-kashī kiije
taak kar koī sāya-dār daraḳht
ālam-e-sheb meñ huuñ yuuñ 'ġhāfil'
baaġh meñ jaise be-bahār daraḳht
Top Urdushayar.com