Munawar Khan Ghafil

shana to chhuTa zulf-e-pareshan se ulajh kar

Munawar Khan Ghafil

shāna to chhuTā zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
suljhā na ye dil kākul-e-pechāñ se ulajh kar
letā hai ḳhabar kaun asīrān-e-balā kī
mar mar ga.e tārīkī-e-zindāñ se ulajh kar
zoroñ pe chaḌhā hai ye mirā panja-e-vahshat
dāman se ulajhtā hai garebāñ se ulajh kar
dīvāne ḳhat-o-zulf ke saude kī lahar meñ
kyā kyā na bake sumbul-o-raihāñ se ulajh kar
āsār-e-qayāmat kahīñ jaldī ho numāyāñ
ghabrā.e hai jī ab shab-e-hijrāñ se ulajh kar
Dartā huuñ kahīñ taab nazākat se na khāve
mū-e-kamar us zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
sau pech meñ aayā hai hamārā dil-e-sad-chāk
shāna kī tarah kākul-e-pechāñ se ulajh kar
girdāb-e-balā meñ dil-e-āshiq ko phañsāyā
baalī ne tirī zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
tai kar ga.e sab kāba-e-maqsūd kī manzil
ik rah ga.e ham naḳhl-e-muġhīlāñ se ulajh kar
dauḌā huā jaatā hai raqīb us kī galī ko
yārab ye gire raste meñ dāmāñ se ulajh kar
jazb-e-dil-e-majnūñ ne kiyā kaam jo apnā
naaqa na rukā ḳhār-e-bayābāñ se ulajh kar
yārab maiñ use dekhūñ agar dīda-e-bad se
rah jaa.e nazar panja-e-mizhgāñ se ulajh kar
ai tīr-fagan bas hai yahī mujh ko tamannā
chhūTe na rag-e-jāñ tire paikāñ se ulajh kar
mat bahs raqībān-e-kaj-andesh se 'ġhāfil'
be-qadr na ho aise safīhāñ se ulajh kar
Top Urdushayar.com