aa ke sajjāda-nashīñ qais huā mere ba.ad
na rahī dasht meñ ḳhālī koī jā mere ba.ad
miyān meñ us ne jo kī teġh-e-jafā mere ba.ad
ḳhūñ-girafta koī kyā aur na thā mere ba.ad
dostī kā bhī tujhe paas na aayā he he
tū ne dushman se kiyā merā gilā mere ba.ad
garm-bāzārī-e-ulfat hai mujhī se varna
koī lene kā nahīñ nām-e-vafā mere ba.ad
muñh pe le dāman-e-gul ro.eñge murġhān-e-chaman
baaġh meñ ḳhaak uḌā.egī sabā mere ba.ad
chaak isī ġham se garebān kiyā hai maiñ ne
kaun kholegā tire band-e-qabā mere ba.ad
ab to hañs hañs ke lagātā hai vo mehñdī lekin
ḳhuun rulā degā use rañg-e-hinā mere ba.ad
maiñ to gulzār se dil-tañg chalā ġhuncha-ravish
mujh ko kyā phir jo koī phuul khilā mere ba.ad
vo havā-ḳhvāh-e-chaman huuñ ki chaman meñ har sub.h
pahle maiñ jaatā thā aur bād-e-sabā mere ba.ad
sun ke marne kī ḳhabar yaar mire ghar aayā
ya.anī maqbūl huī merī vafā mere ba.ad
zab.h kar ke mujhe nādim ye huā vo qātil
haath meñ phir kabhī ḳhanjar na liyā mere ba.ad
merī hī zamzama-sanjī se chaman thā ābād
kiyā sayyād ne ik ik ko rihā mere ba.ad
aa gayā biich meñ us zulf kī ik maiñ nādāñ
na huā koī giraftār-e-balā mere ba.ad
qatl to karte ho par ḳhuub hī pachhtāoge
mujh sā milne kā nahīñ ahl-e-vafā mere ba.ad
barg-e-gul laa.ī sabā qabr pe merī na nasīm
phir ga.ī aisī zamāne kī huā mere ba.ad
gir paḌe aañkh se us kī bhī yakāyak aañsū
zikr mahfil meñ jo kuchh merā huā mere ba.ad
zer-e-shamshīr yahī soch hai maqtal meñ mujhe
dekhiye ab kise laatī hai qazā mere ba.ad
shart-e-yārī yahī hotī hai ki tū ne 'ġhāfil'
bhuul kar bhī na mujhe yaad kiyā mere ba.ad