vo merā dard-e-dil kyā jānte haiñ
taḌapne ko tamāshā jānte haiñ
bahār-e-gul hai ḳhaar āñkhoñ meñ tujh bin
chaman ko ham to sahrā jānte haiñ
kaheñ kyā hāl-e-dil apnā butoñ se
jo hai dil meñ tamannā jānte haiñ
satānā qatl karnā phir jalānā
vo be-ta.alīm kyā kyā jānte haiñ
maleñ ham kyuuñ na āñkheñ barg-e-gul se
ise terā kaf-e-pā jānte haiñ
raqīboñ par sitam itnā na kiije
unheñ bhī aap ham sā jānte haiñ
yahāñ tak ijz ke ḳhūgar haiñ 'ġhāfil'
buroñ ko bhī ham achchhā jānte haiñ