Nushur Wahidi

dhaDkanen dil ki gine KHun mein rawani mange

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
dhaḌkaneñ dil kī gine ḳhuuñ meñ ravānī māñge
zindagī ishq kī ai dost javānī māñge
pesh kar daaġh agar dil pe koī khāyā ho
ishq har āshiq-e-sādiq se nishānī māñge
zulf-e-shab-gūñ tire shāne pe khulī nāgin hai
Das le ye jis ko na phir uTh ke vo paanī māñge
aadmī ahd-e-javānī meñ rahā munkir-e-ġham
ab ġham-e-dil kī ḳhabar hai to javānī māñge
husn har gaam pe qaa.em kare ik taaza hijāb
ishq parde kī ye dīvār girānī māñge
din ko sotī hai mohabbat kī kashish āñkhoñ meñ
raat ko chāñd sitāroñ kī kahānī māñge
mai-kade meñ mire saaqī kā nayā hukm ye hai
shaam ko pyaas lage sub.h ko paanī māñge
dilbarī pesha hai ye chor bhī apne dil kā
aañkh har ek haqīqat se churānī māñge
kyā na.e dost-navāzo kā bharosā hai 'nushūr'
dostī ye hai ki vo rasm purānī māñge
Top Urdushayar.com