har zarra-e-ḳhākī ko kiran ham ne banāyā
miTTī ko lahū de ke chaman ham ne banāyā
thā husn magar ik nigah-e-nīm-razā se
gesū-ba-kamar lāla-shikan ham ne banāyā
sad-shukr ki hai un kā tabassum bhī hamīñ par
kaliyoñ meñ jinheñ ġhuncha-dahan ham ne banāyā
aġhyār ko gul-pairahanī ham ne atā kī
apne liye phūloñ kā kafan ham ne banāyā
har jazba-e-āzādī-e-fitrat ko huā dī
har bāda-e-paimāna-shikan ham ne banāyā
tārīḳh-e-junūñ ye hai ki har daur-e-ḳhirad meñ
ik silsila-e-dār-o-rasan ham ne banāyā
Darte haiñ ḳhamoshī se hamārī mah-o-anjum
chup rah ke vo andāz-e-suḳhan ham ne banāyā
Takrā.e kabhī mauj se sāhil pe kabhī haiñ
bahte hue dariyā meñ vatan ham ne banāyā
mustaqbil-e-tahzīb kā naġhma vahī Thahrā
jo zamzama-e-gañg-o-jaman ham ne banāyā
ashkoñ se hamāre hai munavvar na.ī duniyā
shabnam ko ziyā dī to karan ham ne banāyā
āfāq kā har jalva 'nushūr' is meñ ayaañ hai
mil-jul ke vo ā.īna-e-fan ham ne banāyā