Abid Wadood

jab bhi tanhai kabhi hoti hai hasil mujhko

Abid Wadood

1953
jab bhī tanhā.ī kabhī hotī hai hāsil mujh ko
vaqt rakh detā hai mere hī muqābil mujh ko
āḳhirī umr kī uftād ga.ī tab.a kī ḳhair
raas aatā hai alam-zār na mahfil mujh ko
ek baar aur maiñ jī pā.ūñ to shāyad hal hoñ
zindagānī ne diye aise masā.il mujh ko
ishq itnā bhī hai kaafī ki tujhe chāhtā huuñ
itnā hāsil hai to kyā kuchh nahīñ hāsil mujh ko
jab bahār aa.ī tavānā.ī bhī vāpas aa.ī
qaid meñ rakh na sake band-o-salāsil mujh ko
itnī ūñchā.ī se to merī zabūñ-hālī dekh
jitnī duurī se nazar aatā hai sāhil mujh ko
mujh ko ma.azūr banātī hai mirī kam-yābī
nazar aatā hai ḳharīdār na saa.il mujh ko
maiñ tire lutf se nādim huuñ magar arz hai ye
ab samundar se banānā nahīñ sāhil mujh ko
maiñ ne kashkol jo hāthoñ meñ liyā to 'ābid'
saarī duniyā nazar aane lagī saa.il mujh ko
Top Urdushayar.com