na ghar sukūn-kada hai na kārḳhāna-e-ishq
magar ye ham haiñ ki likhte rahe haiñ nāma-e-ishq
bahut se naam the ab koī yaad aatā nahīñ
hamāre dil meñ rahā dafn ik ḳhazāna-e-ishq
sab apne apne tarīqe se bhiik māñgte haiñ
koī ba-nām-e-mohabbat koī ba-jāma-e-ishq
tumhī pe kyā ki ham ab ḳhud pe bhī nahīñ khulte
to kyā ye kam hai ki ham par khulā fasāna-e-ishq
ka.ī zamāne ga.e aur badal gayā sab kuchh
magar kabhī nahīñ badlā tirā zamāna-e-ishq
sulagte rahne kī lazzat use kahāñ ma.alūm
ki jab talak koī bantā nahīñ nishāna-e-ishq
use phir apnī ḳhabar bhī nahīñ rahī 'ābid'
lagā hai jis ko bhī ik baar tāziyāna-e-ishq