havā ke ruḳh pe khulā bādbāñ añdhere kā
yahāñ pe naam nahīñ ab kisī savere kā
uThā ke le gayā sarvat kabhī kā hai jogī
koī surāġh nahīñ ab usī ke phere kā
havā-e-garm ke tapte libās meñ pahroñ
vo saaya Tāñktā hai har shajar ghanere kā
har ek shāḳh se sandal ke saañp haiñ lipTe
asar pazīr nahīñ koī dam sapere kā
sukūt vo hai ki jāmid hai lamha-e-maujūd
hayāt ḳhvāb ho jaise kisī luTere kā
har ek saañs pe dhaḌkā hai maut kā 'ābid'
ye zindagī hai ki hai ghar kisī vadere kā