Abid Wadood

jab se dariya mein hai tughyani bahut

Abid Wadood

1953
jab se dariyā meñ hai tuġhyānī bahut
paar jaane meñ hai āsānī bahut
koī manzar bhī nahīñ achchhā lagā
ab ke ā.ankhoñ meñ hai vīrānī bahut
apnī qīmat to nahīñ lekin yahāñ
aise gauhar kī hai arzānī bahut
khet haiñ banjar to sahrā be-numū
varna dariyāoñ meñ hai paanī bahut
us ke chehre par mirī āñkheñ sajīñ
mere chehre par thī hairānī bahut
kyā ḳhulūs-o-mehr kī bāteñ kareñ
zindagī meñ hai pashemānī bahut
har kisī ko ilm hai 'ābid-vadūd'
bāteñ us kī jānī-pahchānī bahut
Top Urdushayar.com