Nushur Wahidi

kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
kabhī jhūTe sahāre ġham meñ raas aayā nahīñ karte
ye bādal uḌ ke aate haiñ magar saayā nahīñ karte
yahī kāñTe to kuchh ḳhuddār haiñ sehn-e-gulistāñ meñ
ki shabnam ke liye dāman to phailāyā nahīñ karte
vo le leñ gosha-e-dāman meñ apne yā falak chun le
mirī ā.ankhoñ meñ aañsū baar baar aayā nahīñ karte
salīqa jin ko hotā hai ġham-e-daurāñ meñ jiine kā
vo yuuñ shīshe ko har patthar se Takrāyā nahīñ karte
jo qīmat jānte haiñ gard-e-rāh-e-zindagānī kī
vo Thukrā.ī huī duniyā ko Thukrāyā nahīñ karte
qadam mai-ḳhāna meñ rakhnā bhī kār-e-puḳhta-kārāñ hai
jo paimāna uThāte haiñ vo tharrāyā nahīñ karte
'nushūr' ahl-e-zamāna baat pūchho to larazte haiñ
vo shā.er haiñ jo haq kahne se katrāyā nahīñ karte
Top Urdushayar.com