fikr-e-nau zauq-e-tapāñ se aa.ī hai
gard thoḌī kārvāñ se aa.ī hai
zindagī parchhā.iyāñ apnī liye
ā.inoñ ke darmiyāñ se aa.ī hai
siikh kar jaadū vo chashm-e-mai-farosh
mahfil-e-jādūgarāñ se aa.ī hai
raat ke afsūñ jagāte hī rahe
niiñd apnī dāstāñ se aa.ī hai
ho liye ham zindagī ke saath saath
ye nahīñ pūchhā kahāñ se aa.ī hai
dāġh-hā-e-sīna meñ ye tāzgī
iltifāt-e-nāgahāñ se aa.ī hai
kyā ḳhabar tujh ko asīr-e-nau-e-bahār
kitnī ra.anā.ī ḳhizāñ se aa.ī hai
inqalāb-e-nau meñ ye quvvat 'nushūr'
mere dast-e-nā-tavāñ se aa.ī hai