Qasim Niyazi

ek shoKH ke honTon se ye jam tarashe hain

Qasim Niyazi

ik shoḳh ke hoñToñ se ye jaam tarāshe haiñ
ye jaam tarāshe haiñ in.aam tarāshe haiñ
aa.ine pe kyuuñ itne barham nazar aate ho
jo shakleñ mileñ us se vo naam tarāshe haiñ
masjid ho kar mandir ho kuchh farq nahīñ lekin
ḳhud ham ne hī nafrat ke asnām tarāshe haiñ
taqsīm huuñ majbūran maiñ kitne hī ḳhānoñ meñ
duniyā ne magar kyā kyā ilzām tarāshe haiñ
likkhegā gila kyā hai karne se hī hotā hai
logoñ ne pahāḌoñ meñ gulfām tarāshe haiñ
farzānoñ kī bastī meñ kyā kaam 'niyāzī' kā
dīvānoñ sā lahja hai ib.hām tarāshe haiñ
Top Urdushayar.com