vahāñ to roz sitārā nayā chamaktā hai
yahāñ bas ek hī jugnū hai jo sisaktā hai
use to vaqt ne ḳhāmoshiyāñ hī baḳhshī haiñ
jo apnī raah badaltā hai aur bhaTaktā hai
vo ek jhuuT thā jo raushnī meñ aa pahuñchā
ye ek sach hai añdheroñ meñ jo bhaTaktā hai
tū kis ḳhayāl meñ kis soch meñ hai fikr na kar
ki merā zaḳhm tirā zulm chhup to saktā hai
lagā liye haiñ jo maiñ ne bhī mausamī chehre
tū mere ghar meñ bhī sūraj sā ik chamaktā hai
'niyāzī' aaj us ātish-badan kī yaad aa.ī
ki jis ke naam se sho.ala sā ik lapaktā hai