har taraf karb ke manzar haiñ jidhar jaatā huuñ
lamha lamha kabhī jiitā kabhī mar jaatā huuñ
bad-gumāñ aisā huā huuñ maiñ fareboñ se tire
sach bhī jab sāmne aatā hai to Dar jaatā huuñ
intiqāman ye ravish maiñ ne bhī apnā.ī hai
jab mukartā hai koī maiñ bhī mukar jaatā huuñ
dhuup sah lene kī aadat ne ye jur.at baḳhshī
sar pe sūraj ko uThā.e meñ guzar jaatā huuñ
aa.ina ban gayā hamrāz 'niyāzī' jab se
apne chehre ko maiñ ḳhud dekh ke Dar jaatā huuñ