chilman se jo dāman ke kināre nikal aa.e
vārafta-nigāhī ke sahāre nikal aa.e
paimāna-ba-kaf saath tumhāre nikal aa.e
hañgāma-e-hastī se kināre nikal aa.e
ik sādgi-e-husn kī māsūm adā.eñ
rañgīn mazāmīñ ke ishāre nikal aa.e
daulat kā falak toḌ ke aalam kī jabīñ par
mazdūr kī qismat ke sitāre nikal aa.e
sab bhuul ga.e pech-o-ḳham-e-hosh meñ raste
is raah pe kuchh ishq ke maare nikal aa.e
sab Duub ga.e talḳhi-e-nākāmi-e-ġham meñ
kuchh aap ke dāman ke sahāre nikal aa.e
gustāḳhi-e-bārāñ se vo pairāhan-e-pur-nam
bhīge hue jalvoñ se sharāre nikal aa.e
ruḳhsat ke vo aañsū vo nigāhoñ kī udāsī
thī shaam magar sub.h ke taare nikal aa.e
āñkhoñ meñ nazar aane lage ḳhuun ke aañsū
uTTho ki bas ab surḳh sitāre nikal aa.e
rizvāñ se baġhāvat hai 'nushūr' aur mai-e-kausar
uqbā meñ bhī kuchh kaam hamāre nikal aa.e