baḌe hī tez chubhte haiñ ye lahje maar dete haiñ
mujhe aksar ye apnoñ ke ravayye maar dete haiñ
jise apnā samajhte haiñ vahī taklīf detā hai
ye dar dar jā pe haiñ khulte darīche maar dete haiñ
jise ham tuul dete haiñ takalluf bartaraf ho kar
ta.alluq se bañdhe aksar vo rishte maar dete haiñ
bahut taklīf dete haiñ vo qisse nā-shanāsī ke
hamesha be-sabab guzreñ vo lamhe maar dete haiñ
nahīñ ma.alūm hote haiñ magar ma.alūm hote haiñ
bahut ma.adūm hote haiñ vo jazbe maar dete haiñ
jinheñ jaanā nahīñ hotā vo aksar lauT jaate haiñ
achānak se ḳhafā ho kar ye apne maar dete haiñ
tumhāre sāmne aa kar ye luknat sī jo paḌtī hai
adhūre be-zabāñ ho ke ye jumle maar dete haiñ
mirī koshish ye hotī hai mirī bāteñ karo mujh se
zamāne bhar ke hote haiñ vo qisse maar dete haiñ