ik sham.a anjuman meñ jalātī rahī huuñ maiñ
jal jal ke diip ḳhud hī banātī rahī huuñ maiñ
kyā pūchhte ho ab mirī sāñsoñ kā rābta
ro-ro ke haal sab ko batātī rahī huuñ maiñ
har baar zindagī ne diyā ik nayā fareb
phir zindagī se aas lagātī rahī huuñ maiñ
shāḳhoñ se pūchhtī rahī hai sar-phirī havā
kis ke liye zamīn sajātī rahī huuñ maiñ
rakhe hue khaḌī huuñ mohabbat muñDer par
dīvār nafratoñ kī girātī rahī huuñ maiñ
haiñ ābgīna jaise mirī zindagī ke rañg
tūfāñ se ā.inoñ ko bachātī rahī huuñ maiñ
ban jaa.eñ kal saroñ pe ye saaya ghaner sā
paude jagah jagah pe lagātī rahī huuñ maiñ
nargis kahā kisī ne kisī ne kahā hai gul
āñkheñ zamīñ ke beach ugātī rahī huuñ maiñ