Sameena Gul

shauq-e-didar ne kya kya na tamasha dekha

Sameena Gul

shauq-e-dīdār ne kyā kyā na tamāshā dekhā
jān-e-man kaise batā.eñ tumheñ kyā kyā dekhā
zindagī aag hai aur aag kī ḳhātir ham ne
diip kī aañkh meñ jaltā huā chehrā dekhā
maiñ ne lamhoñ meñ guzārī haiñ hazāroñ sadiyāñ
vaqt kī dhuup meñ pighlā huā dariyā dekhā
sub.h raushan ne utārī haiñ sitārī āñkheñ
shāḳh-e-shamshād ne gulshan kā darīcha dekhā
rāz-e-hastī meñ zamīñ saarī tasavvur niklī
āsmāñ apne taḳhayyul kā sahīfa dekhā
dāġh-e-dāman ko chhupā.e hue phirtī hai havā
rang-o-āhang se badlā huā shīsha dekhā
merī āñkhoñ meñ machaltī huī yādeñ us kī
jām-e-ulfat se chhalaktā huā pyāla dekhā
Top Urdushayar.com