Sameena Gul

shauq-e-didar ne kya kya na tamasha dekha

Sameena Gul

shauq-e-dīdār ne kyā kyā na tamāshā dekhā
jān-e-man kaise batā.eñ tumheñ kyā kyā dekhā
zindagī aag hai aur aag kī ḳhātir ham ne
diip kī aañkh meñ jaltā huā chehra dekhā
maiñ ne lamhoñ meñ guzārī haiñ hazāroñ sadiyāñ
vaqt kī dhuup meñ pighlā huā dariyā dekhā
sub.h-e-raushan ne utārī haiñ sitāra āñkheñ
shāḳh-e-shamshād ne gulshan kā darīcha dekhā
rāz-e-hastī meñ zamīñ saarī tasavvur niklī
āsmāñ apne taḳhayyul kā sahīfa dekhā
dāġh-e-dāman ko uThā.e hue phirtī hai havā
dhuul hī dhuul huā saarā vo rasta dekhā
gul kī āñkhoñ meñ machaltī huī yādeñ us kī
rang-o-āhang se badaltā huā shīsha dekhā
Top Urdushayar.com