aise ḳhud par yahāñ ḳhudā.ī kī
dil kī dekhī na hī sunā.ī kī
be-qarārī sī dil ko hone lagī
jaane kis ne kahāñ rasā.ī kī
vo hī sad-rañg hai jazīra-numā
mere ḳhvāboñ kī kyuuñ rihā.ī kī
tohmateñ dūsroñ pe dharte haiñ
baat karte haiñ pārsā.ī kī
merī āñkhoñ ke jal paḌe the diye
āñsuoñ ne yuuñ jag-hañsā.ī kī
aaj dāman meñ phuul Daale the
jaise gulshan kī phir gadā.ī kī