Sameena Gul

ai arz-e-watan hum tujhe tamir karenge

Sameena Gul

ai arz-e-vatan ham tujhe ta.amīr kareñge
ham terā muqaddar tirī taqdīr likheñge
Daalī hai kamand ham ne sitāroñ pe hamesha
hamrāh surayyā kī bhī zanjīr kareñge
ḳhurshīd-e-vatan ko inhī hāthoñ se ujālā
ham chāñd sitāroñ ko bhī tasḳhīr kareñge
iqbāl ke shāhīn haiñ shahbāz usī ke
dekhe hue har ḳhvāb kī ta.abīr baneñge
samjhā.eñge ab ham tumheñ maz.hab ke ma.ānī
ham amn-o-aḳhūvvat tirī jāgīr kareñge
parcham ke sitāre meñ bhareñ apnī ziyā.eñ
ham apne junūñ se tujhe tanvīr kareñge
ġhamgīn manāzir na ḳhudā dekhe dikhā.e
ham pyaar mohabbat se ye tasvīr bhareñge
phir fasl-e-gul-o-lāla se mahkegā chaman ye
ham nok-e-sabā se tujhe tahrīr kareñge
Top Urdushayar.com