Sameena Gul

wo mujhko mangta hai zebai chahta hai

Sameena Gul

vo mujh ko māñgtā hai zebā.ī chāhtā hai
mere ḳhilāf mujh se paspā.ī chāhtā hai
hogī qubūl lekin ye shart lāzmī hai
maqbūliyat kī ḳhātir gahrā.ī chāhtā hai
sahrā kī chhāntā hai vo ḳhaak ḳhaak zarra
ik ajnabī sā ġham hai rusvā.ī chāhtā hai
makr-o-fareb le kar har shaḳhs dekhtā hai
dil sab se bhar gayā hai tanhā.ī chāhtā hai
dil dekhtā rahā hai us paar kā sitāra
is paar dekhne ko bīnā.ī chāhtā hai
bikhre hue paḌe haiñ reze vajūd ke hī
simTe na phir kabhī ye harjā.ī chāhtā hai
is naḳhl-e-dostāñ pe gul haiñ khile hue jo
ḳhushbū-e-gulsitāñ kī sachchā.ī chāhtā hai
Top Urdushayar.com