Nushur Wahidi

hasrat-e-faisla-e-dard-e-jigar baqi hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
hasrat-e-faisla-e-dard-e-jigar baaqī hai
aur abhī silsila-e-shām-o-sahar baaqī hai
aa.iye aur nazar se bhī zamāna dekheñ
zindagī hai to mohabbat kī nazar baaqī hai
yā mirī sub.h meñ raunaq nahīñ hañgāmoñ kī
yā mirī shaam ba-unvān-e-sahar baaqī hai
naujavānī ga.ī anfās kī ḳhushbū na ga.ī
phuul murjhā.e magar bād-e-sahar baaqī hai
kuuch hī kuuch hai har rañg meñ duniyā kī hayāt
ik safar ḳhatm huā ek safar baaqī hai
yād-gār-e-harm-o-dair hai TuuTā huā dil
shahr vīrān huā ek ye ghar baaqī hai
husn dilkash hai jahāñ tak hai tabassum kā sabāt
ishq zinda hai agar dīda-e-tar baaqī hai
be-mai-o-rañg hai kāshāna-e-tahzīb-e-jadīd
kuchh pas-e-parda nahīñ parda-e-dar baaqī hai
zindagī kyā hai abhī tajraba karnā hai 'nushūr'
shā.irī kyā hai abhī naqd o nazar baaqī hai
Top Urdushayar.com