mujh ko terī chāhat zinda rakhtī hai
aur tujhe ye hālat zinda rakhtī hai
Dho Dho kar har roz jise thak jaatā huuñ
us sāmāñ kī sañgat zinda rakhtī hai
sūraj ne tezāb hai chhiḌkā shāḳhoñ par
gulshan ko kyā rañgat zinda rakhtī hai
chaḌhte sūraj kī maiñ puujā kartā huuñ
yaar yahī ik ḳhaslat zinda rakhtī hai
chuum ke hāthoñ kī rekhā.eñ sotā huuñ
ḳhvāboñ kī ye daulat zinda rakhtī hai
pal-do-pal āñgan meñ tere rahtā huuñ
ek yahī to fursat zinda rakhtī hai