sadiyoñ ke baad hosh meñ jo aa rahā huuñ maiñ
lagtā hai pahle jurm ko dohrā rahā huuñ maiñ
pur-haul vādiyoñ kā safar hai bahut kaThin
le jā rahā hai shauq chalā jā rahā huuñ maiñ
ḳhālī haiñ donoñ haath aur dāman bhī taar taar
kyuuñ ek musht-e-ḳhāk pe itrā rahā huuñ maiñ
shauq-e-visāl-e-yār meñ ik umr kaaT dī
ab baam o dar saje haiñ to ghabrā rahā huuñ maiñ
shāyad varaq hai paḌh liyā koī hayāt kā
ban kar faqīh-e-shahr jo samjhā rahā huuñ maiñ
sāhil pe baiThā dekh ke maujoñ kā iztirāb
uljhī huī sī gutthiyāñ suljhā rahā huuñ maiñ