kūza-gar dekh agar chaak pe aanā hai mujhe
phir tire haath se har chaak silānā hai mujhe
bāñdh rakkhe haiñ mire paañv meñ ghuñgrū kis ne
apnī sur-tāl pe ab kis ne nachānā hai mujhe
rāt-bhar dekhtā aayā huuñ charāġhoñ kā dhuāñ
sub.h-e-āshūr se ab aañkh milānā hai mujhe
haath uTThe na koī ab ke duā kī ḳhātir
ek dīvār pas-e-dār banānā hai mujhe
sar bache yā na bache tere ziyāñ-ḳhāne meñ
apnī dastār bahar-taur bachānā hai mujhe
chhoḌ aayā huuñ dar-e-dil pe maiñ āñkheñ apnī
ab zarā jaa.e jo kahtā thā ki jaanā hai mujhe