Nushur Wahidi

nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
na.ī duniyā mujassam dilkashī ma.alūm hotī hai
magar is husn meñ dil kī kamī ma.alūm hotī hai
hijāboñ meñ nasīm-e-zindagī ma.alūm hotī hai
kisī dāman kī halkī thartharī ma.alūm hotī hai
mirī rātoñ kī ḳhunkī hai tire gesu-e-pur-ḳham meñ
ye baḌhtī chhāñv bhī kitnī ghanī ma.alūm hotī hai
vo achchhā thā jo beḌā mauj ke rahm o karam par thā
ḳhizar aa.e to kashtī Dūbtī ma.alūm hotī hai
ye dil kī tishnagī hai yā nazar kī pyaas hai saaqī
har ik botal jo ḳhālī hai bharī ma.alūm hotī hai
dam-e-āḳhir mudāva-e-dil-e-bīmār kyā ma.anī
mujhe chhoḌo ki mujh ko niiñd sī ma.alūm hotī hai
diyā ḳhāmosh hai lekin kisī kā dil to jaltā hai
chale aao jahāñ tak raushnī ma.alūm hotī hai
nasīm-e-zindagī ke soz se murjhā.ī jaatī hai
ye hastī phuul kī ik pañkhuḌī ma.alūm hotī hai
jidhar dekhā 'nushūr' ik ālam-e-dīgar nazar aayā
musībat meñ ye duniyā ajnabī ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com