Tek lagā kar baiThā huuñ maiñ jis būḌhī dīvār ke saath
ḳhauf hai mujh ko miT na jā.ūñ us ke har āsār ke saath
ġhāza powder mal kar maiñ bhī aa jaatā huuñ surḳhī meñ
bik jaatā hai chehra merā saste se aḳhbār ke saath
kyuuñ na baḌh kar maiñ pī jā.ūñ tere naqlī sab tiryāk
phir tū dhokā kar na paa.e bastī meñ bīmār ke saath
hosh ke nāḳhun le to sā.īñ kyuuñ ye ġhauġhā Daalā hai
dekh nahīñ ab lai ye chaltī naġhma-e-darbār ke saath
kis ne tujh ko sauñpī bhaa.ī sardārī is bastī kī
sab ke sab mahshūr ye hoñge apne apne yaar ke saath
umr tamāmī shauq se ham ne ek hī titlī paalī thī
jab jab us ko ḳhvāb meñ dekhā uḌtī hai aġhyār ke saath