shu.ūr-o-fikr se aage nikal bhī saktā hai
mirā junūn havāoñ pe chal bhī saktā hai
mire gumāñ pe uThāo na uñgliyāñ sāhab
gumāñ yaqīñ meñ yaqīnan badal bhī saktā hai
pahāḌ apnī qadāmat pe yuuñ na itrā.eñ
ubhar gayā koī zarra nigal bhī saktā hai
mire laboñ pe jamī barf soch kar chhūnā
tumhāre jism kā aahan pighal bhī saktā hai
koī asā bhī nahīñ aur hai akelā tū
amīr-e-shahr kā azhdar nigal bhī saktā hai
hamāre saath jo chalnā hai zād-e-rah le lo
kaThin se moḌ haiñ paañv phisal bhī saktā hai
karo na zid ki kisī shahr kī taraf jā.ūñ
mire aziiz ye dil hai machal bhī saktā hai
kar apne saa.e se rāz-o-niyāz kī bāteñ
bahut udaas hai lekin bahal bhī saktā hai
bas ik nazar jo karam kī vo us taraf phere
qadam bahak jo gayā hai sambhal bhī saktā hai