duur tak ik sarāb dekhā hai
vahshatoñ kā shabāb dekhā hai
zau-fishāñ kyuuñ haiñ dasht ke zarre
kyā koī māhtāb dekhā hai
baam o dar par hai sholagī raqsāñ
husn ko be-naqāb dekhā hai
nāma-bar un se bas yahī kahnā
nīm-jāñ ik gulāb dekhā hai
ab zamīñ par qadam nahīñ Tikte
āsmāñ par uqaab dekhā hai
merī nazroñ meñ bāñkpan kaisā
jāgtā huuñ ki ḳhvāb dekhā hai