be-muravvat haiñ to vāpas hī uThā le shab-o-roz
mujh ko bhāte nahīñ ye tere nirāle shab-o-roz
ek ummīd kā taara hai sar-e-bām abhī
us kī kirnoñ se hī ham ne haiñ ujāle shab-o-roz
jo tirī yaad ke saa.e meñ guzāre ham ne
haiñ vahī ziist ke anmol havāle shab-o-roz
dasht se ḳhaak uThā laayā thā ajdād kī maiñ
ghar meñ rakkhe to hue chāñd ke haale shab-o-roz
dast-e-ḳhūnīñ na kabhī vaqt uThā.e tujh par
hukm lamhoñ pe chalā Dhaal banā le shab-o-roz
apne din-rāt se mumkin hai kahāñ koī farār
dasht-e-vahshat meñ utar aur sajā le shab-o-roz