vaqt ke paas kahāñ saare havāle hoñge
zeb-e-qirtās faqat yaas ke haale hoñge
khojtā kyā hai añdheroñ meñ tafāhum ke diye
aa charāġhoñ meñ lahū Daal ujāle hoñge
dasht meñ jā ke zarā dekh to aa.e koī
zarre zarre ne mire ashk sambhāle hoñge
yuuñ to maqdūr nahīñ tujh ko tirī qismat par
haañ magar tū ne ka.ī sikke uchhāle hoñge
ham the ḳhushbū ke ḳharīdār magar kyā ma.alūm
surḳh phūloñ ne yahāñ saañp bhī paale hoñge