silsila-dar-silsila juzv-e-adā honā hī thā
āḳhirash terī nazar kā mudda.ā honā hī thā
kū-ba-kū sahrā-ba-sahrā ham-safar thā iztirāb
ik nayā mahshar nayā ik hādsa honā hī thā
Das rahā thā terī yādoñ kā musalsal azhdahā
lahza lahza fikr meñ ik sāneha honā hī thā
haath uTThe chashm-e-tar thī dil bhī thā mahv-e-fuġhāñ
hāshiya-dar-hāshiya harf-e-duā honā hī thā
khīñch lī thī ik lakīr-e-nā-rasā ḳhud darmiyāñ
fāsla-dar-fāsla-dar-fāsla honā hī thā