ziist miltī hai umr-e-fānī se
maañg kuchh apnī zindagānī se
ik nazar kā fasāna hai duniyā
sau kahānī hai ik kahānī se
baat kah dī to baat kuchh na rahī
ġham huā ġham kī tarjumānī se
sub.h hotī nahīñ mohabbat kī
raat kaTtī nahīñ javānī se
phuul chunte haiñ ahl-e-bazm 'nushūr'
merī har taaza gul-fishānī se