purāne rañg meñ ashk-e-ġham taaza milātā huuñ
dar-o-dīvār par kuchh aks-e-nā-dīda sajātā huuñ
mujhe sahrā-navardī raas aatī jā rahī hai ab
ḳharābāt-e-chaman meñ lāla-o-sausan ugātā huuñ
mire is shauq se dariyā kināre sab shanāsā haiñ
jahāñ tūfāñ ho maujoñ kā vahāñ lañgar uThātā huuñ
tumhārī naġhma-sanjī kī dukāñ par jo nahīñ miltā
vahī ik naġhma-e-pur-soz maiñ sab ko sunātā huuñ
na jaane kis nagar ābād ho jaatī haiñ vo jā kar
maiñ aksar shaam ko chhat se patañgeñ jo uḌātā huuñ
paḌe haiñ aable lekin qadam phir bhī haiñ barjasta
maiñ kab se laash apnī apne kāñdhoñ par uThātā huuñ