baal baal duniyā par us kā hī ijāra hai
vaqt ḳhālī hāthoñ se ham ne bhī guzārā hai
kū-ba-kū barastā hai yam-ba-yam ubaltā hai
ḳhūn-e-ādamiyat se naqsh lā sañvārā hai
le chalo charāġhoñ ko kar ke ḳhuun se raushan
dasht kī siyāhī ne ham ko bhī pukārā hai
zād-e-rāh kā ham se kyuuñ savāl karte ho
rahzanoñ ke narġhe meñ jab hameñ utārā hai
har-nafas qafas meñ hoñ kaise maan luuñ 'naqvī'
ab khulī fazā.eñ haiñ āsmāñ hamārā hai