añdheroñ se ulajhne kī koī tadbīr karnā hai
koī rauzan kisī dīvār meñ tasḳhīr karnā hai
zarā dekhūñ to dam kitnā hai is bād-e-muḳhālif meñ
sar-e-dasht-e-balā ik ghar nayā ta.amīr karnā hai
nikal aayā hai jo bedād rāhoñ par dil-e-be-ḳhud
koī nāvak-fagan aa.e use naḳhchīr karnā hai
sar-e-dasht-e-junūñ jo be-ḳhudī ke phuul khilte haiñ
unheñ raushan dimāġhoñ ke liye iksīr karnā hai
makān-e-lā-makānī kā safar merā nahīñ ruktā
tumhārī yaad ko ab paañv kī zanjīr karnā hai