dasht meñ dhuup kī bhī kamī hai kahāñ
paañv shal haiñ magar bebasī hai kahāñ
lams-e-dasht-e-balā kī hī sauġhāt hai
mire atrāf meñ be-hisī hai kahāñ
ḳhaak meñ ḳhaak huuñ be-makāñ be-nishāñ
merā malbūs tan khusravī hai kahāñ
merā soz-e-darūñ mā.il-e-lutf ho
mujh meñ shoa.la-fishāñ vo namī hai kahāñ
phūñk de baḌh ke jo tīrgī kā badan
merī āñkhoñ meñ vo raushnī hai kahāñ
saut-o-harf-e-tamannā se ho bā-ḳhabar
aisī idrāk meñ naġhmagī hai kahāñ