Nushur Wahidi

main shad hun to zamane mein shadmani hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
maiñ shaad huuñ to zamāne meñ shādmānī hai
sharāb laao ki aalam tamām faanī hai
tamām ālam-e-hastī pe hukmarānī hai
mirā jahān hai jab tak mirī javānī hai
ragoñ meñ ruuh hai aur ḳhuun meñ ravānī hai
nigāh bāda-kash o chehra arġhavānī hai
taġhayyurāt ke aalam meñ zindagānī hai
shabāb faanī nazar faanī husn faanī hai
kahīñ kahīñ ye mohabbat bhī ġhair-fānī hai
jahāñ ḳhayāl haqīqat kī tarjumānī hai
tire ḳhayāl se hai masti-e-nazar merī
tirī nigāh se maiñ ne sharāb chhānī hai
tirā jamāl fasānoñ meñ rañg bhartā hai
tire shabāb se dilkash mirī kahānī hai
mirī hayāt meñ jab tū nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tire baġhair bhī kyā ḳhaak zindagānī hai
dil-e-fasurda meñ hotī hai zindagī paidā
'nushūr' jura-e-sahbā bhī zindagānī hai
Top Urdushayar.com