Neeraj Goswami

dard dil mein magar lab pe muskan hai

Neeraj Goswami

Pathankot, Punjab, India

1950
dard dil meñ magar lab pe muskān hai
hausloñ kī hamāre ye pahchān hai
laakh koshish karo aa ke jaatī nahīñ
yaad ik bin bulā.ī sī mehmān hai
khilkhilātā hai jo aaj ke daur meñ
ik ajūbe se kyā kam vo insān hai
zar zamīñ saltanat se hī hotā nahīñ
jo de bhūke ko roTī, vo sultān hai
miir, tulsī, zafar, josh, mīrā, kabīr
dil hī 'ġhālib' hai aur dil hī 'rasḳhān' hai
pāñch kartā hai jo, do meñ do joḌ kar
āj-kal sirf us kā hī gun-gān hai
DhūñDtā phir rahā phuul par titliyāñ
shahr meñ vo nayā hai ki nādān hai
gar na samjhā to 'nīraj' lagegī kaThin
zindagī ko jo samjhā to āsān hai
Top Urdushayar.com