Neeraj Goswami

jiye KHud ke liye gar hum maza tab kya hai jine mein

Neeraj Goswami

Pathankot, Punjab, India

1950
jiye ḳhud ke liye gar ham mazā tab kyā hai jiine meñ
bahe auroñ kī ḳhātir jo hai ḳhushbū us pasīne meñ
hai jin ke bāzuoñ meñ dam vo dariyā paar kar leñge
bahut mumkin hai Dūbeñ vo jo baiThe haiñ safīne meñ
ye kaisā daur aayā hai saroñ par taaj hai un ke
nahīñ ma.alūm jin ko farq patthar aur nagīne meñ
hamāre dostoñ kī muskurāhaT ik chhalāvā hai
hai paaya zahr aksar ḳhūb-sūrat ābgīne meñ
gae tum duur jab se dil ye kahtā hai karo tauba
maza aatā nahīñ ḳhud hī uThā kar jaam piine meñ
sitam sahne kī aadat is qadar ham ko paḌī 'nīraj'
kahīñ kuchh ho, nahīñ ab khaultā hai ḳhuun siine meñ
Top Urdushayar.com