mushkiloñ kī yahī haiñ baḌī mushkileñ
aap jab chāheñ kam hoñ tabhī ye baḌheñ
ab koī dūsrā rāsta hī nahīñ
yaad tujh ko kareñ aur zinda raheñ
bas isī soch se jhuuT qaa.em rahā
bol kar sach bhalā ham bure kyuuñ baneñ
Dāliyoñ pe phudakne se jo mil ga.ī
us ḳhushī ke liye kyuuñ falak par uḌeñ
ham darinde nahīñ gar haiñ insān to
aa.ina dekhne se batā kyuuñ Dareñ
zindagī ḳhūb-sūrat bane is tarah
ham kaheñ tum suno tum kaho ham suneñ
aa ke haule se chhū leñ vo hoñThoñ se gar
to surīlī murliyā se 'nīraj' bajeñ