Neeraj Goswami

nazakat hai na KHushbu aur na koi dilkashi hi hai

Neeraj Goswami

Pathankot, Punjab, India

1950
nazākat hai na ḳhushbū aur na koī dilkashī hī hai
guloñ ke saath phir bhī ḳhaar ko rab ne jagah dī hai
kisī kī yaad chupke se chalī aatī hai jab dil meñ
kabhī ghuñghrū se bajte haiñ kabhī talvār chaltī hai
vahī karte haiñ da.avā aag nafrat kī bujhāne kā
ki jin ke haath meñ jaltī huī māchis kī tiilī hai
haTo karne do apne man kī bhī in naujavānoñ ko
ye in kā daur hai in kā samay hai in kī baarī hai
ghuTan taḌpan udāsī ashk rusvā.ī akelā-pan
baġhair in ke adhūrī ishq kī har ik kahānī hai
kabhī bachchoñ ko mil kar khilkhilāte nāchte dekhā
lagā tab zindagī ye ham ne kyā se kyā banā lī hai
utar aa.e haiñ bādal yaad ke āñkhoñ meñ yuuñ 'nīraj'
zamīñ jo kal talak thī ḳhushk ab vo bhīgī bhīgī hai
Top Urdushayar.com