yaad har pal tujh ko karne kā sila paane lagā
mujh ko ā.īna terā chehra hī dikhlāne lagā
dil kī banjar sī zamīñ par jab tū barsā pyaar se
zarra zarra khil ke is kā jhūmne gaane lagā
jism ke hī rāj-path par DhūñDtā thā maiñ jise
dil kī pagDanDī pe ab vo sukh nazar aane lagā
hasratoñ kī imliyāñ girne lagīñ tab peḌ se
hausle kā jab tū patthar us pe barsāne lagā
mere ghar se tere ghar kā rāsta mushkil to hai
par milan kī chaah se āsān ho jaane lagā
sochne meñ vaqt 'nīraj' mat lagānā bhuul kar
pyaar qātil se bhī kar gar vo tujhe bhāne lagā