Nushur Wahidi

bhala kab dekh sakta hun ki gham nakaam ho jae

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
bhalā kab dekh saktā huuñ ki ġham nākām ho jaa.e
jo ārām-e-dil-o-jāñ hai vo be-ārām ho jaa.e
mohabbat kyā agar yuuñ sūrat-e-ilzām ho jaa.e
nazar nākām aur zauq-e-nazar badnām ho jaa.e
qayāmat hai agar yuuñ zindagī nākām ho jaa.e
vo pahlū meñ na hoñ aur garmiyoñ kī shaam ho jaa.e
ġham-e-dil hai magar āḳhir ġham-e-dil kyā kahe koī
fasāna muḳhtasar ho kar jab un kā naam ho jaa.e
mohabbat rah chukī aur mātam-e-anjām baaqī hai
vo āñkheñ ashk bhar laa.eñ to apnā kaam ho jaa.e
baḌī hasrat se insāñ bachpane ko yaad kartā hai
ye phal pak kar dobāra chāhtā hai ḳhaam ho jaa.e
jiyā lekin mirā jiinā kisī ke bhī na kaam aayā
maiñ martā huuñ ki shāyad zindagī paiġhām ho jaa.e
'nushūr' ahbāb-e-ḳhush-dil ko zarā hañs bol lene do
qayāmat hai agar ehsās-e-shā.ir aam ho jaa.e
Top Urdushayar.com