idhar ye zabāñ kuchh batātī nahīñ hai
udhar aañkh kuchh bhī chhupātī nahīñ hai
pata hai rihā.ī kī dushvāriyāñ par
ye qaid-e-qafas bhī to bhātī nahīñ hai
kamī rah ga.ī hogī kuchh to kashish meñ
sadā lauT kar yuuñ hī aatī nahīñ hai
mujhe raas vīrāniyāñ aa ga.ī haiñ
tirī yaad bhī ab satātī nahīñ hai
ḳhafā hai karam-farmā hai kaun jaane
havā jab diye ko bujhātī nahīñ hai
agar ho ga.e soch meñ aap būḌhe
to bārish badan ko jalātī nahīñ hai
gumāñ pyaar kā ho rahā tab se 'nīraj'
qasam jab se merī vo khātī nahīñ hai